Sunday 17 August 2014

कच्ची


Roothi hui hai tu
Ek pal mein maanegi
Dil se hamesha hai... Tu bacchi
Are zindagi tu bhi
Mere hi jaisi hai
Dikhti hai sayaani.. Par hai kacchi

Is bade sheher ki bheed mein
Mujhe log begaane se lagte hai
Teri choti khoti baaton se door
Yaha log zyada hi sayaane se lagte hain

Mere intezaar mein na baith tu yoon
Ungli meri chal thaam le
Har baar mere sang chali hai tu
Aaj apni Didi ko pakar, duur le chal mujhe

Yahake bade bade kothiyon se zyada
Teri choti-si gali acchi lagti hain
Yaha begaani si khushi, jaha pal bhar ka vaada
Mujhe Teri ek hasi hi sabse sacchi lagti hai

Ghar se door, doston se door
Tujme na jaane kaha se himmat aata hai
Meri koshish toh jaari hai
Par kabhi kabhi dil bhar sa jaata hai

Dil ki choti atpati khwaishein
Aj kal Dil mein hi simte se rehte hai
Soch samajh ke chalna padta hai, chutki
Kya pata, shayad isiko bada hona kehte hain?

Roothi hui hoon main
Par pal bhar mein maanungi
Dil chahta haii rahoon main bacchhi
Aye zindagi tu bhi
Mere hi jaisi hai
Dikhti sayaani hai.. Par hai kacchhii

  
Sach kahoon toh yeh dil thoda thoda darta hai
Par apne liye na sahi.. Tere liye kuch karne ko jee karta hai